Mustafa Jaan-e- Rahmat peh Lakhon Salaam
Sham-e- Bazm-e- Hidayat peh Lakhon Salaam


This Salaam is spontaneous and overflowing as if inspired with ilham. It is recited by 
muhibbin at the Blessed Rawda of RasulAllah (Sallallahu ‘alayhi wa Sallam) in Masjid 
an-Nabawi, as well as at the end of every religious gathering in Masaajids and homes 
around the world. 



mustafa jane rehmat pe lakhon salam lyrics.This precious kalam/salam is written by the imam of Millions of aashiq e rasul sallallahu alayhi wasallam. 

Yes,

The sayydi Aa'la Hazrat Imam ahmad raza khan Fazil e barelwi radiAllahu ta'aala anhu.

Here we are giving full lyrics of mustafa jane rehmat pe lakhon salam lyrics.

This very price less kalam written by sayyedi Aa'la hazrat and it is recited by the crown less king of naat khwans.


Yes , 


The owais raza qadri. He has recited this salam in his very soulful and melodious voice.

We will give the Youtube video of this kalam mustafa jane rehmat pe lakhon salam lyrics in the end of this post.

So , please read the Full Lyrics .....


mustafa jane rehmat pe lakhon salam lyrics
mustafa jane rehmat pe lakhon salam lyrics


  


mustafa jane rehmat pe lakhon salam lyrics(Full Lyrics)
Best Attar By Adil qadri .

Buy this Attar by clicking on the image given above named Shanaya.


Mustafa jaan-e-rahmat pe laakho(n) Salaam,
Sham’-e-bazm-e-hidaayat pe laakho(n) Salaam.


Mehr-e-charkh-e-nubuwat pe roushan Durood,
Gul-e-baagh-e-risaalat pe laakho(n) Salaam.


Shehreyaar-e-iram taajdaare Haram,
Nau bahaar-e-shafaa'at pe laakho(n) Salaam.


Shab-e-asraa key dulhaa pe daaim Durood,
Naushah-e-bazm-e-Jannat pe laakho(n) Salaam.


‘Arsh ki zeb-o-zeenat pe ‘arshi Durood,
Farsh ki teeb-o-nuzhat pe laakho(n) Salaam.


Noor-e-ain-e-lataafat pe altaf Durood,
Zaib-o-zain-e-nazaafat pe laakho(n) Salaam.


Sarw-e-naaz-e-qidam maghz-e-raaz-e-hikam,
Yakkah taaz-e-fazilat pe laakho(n) Salaam.


Nukta-e-sirre wahdat pe yaktaa Durood,
Markaz-e-daur-e-kasrat pe laakho(n) Salaam.


Saahib-e-raj'at-e-shams-o-shaqq-ul-qamar,
Naaib-e-dast-e-qudrat pe laakho(n) Salaam.


Jiske zer-e-liwaa Aadam-o-man siwa,
Uss sazaa-e-siyadat pe laakho(n) Salaam.


‘Arsh taa farsh hay jiske zere nagee(n),
Uski qaahir riyaasat pe laakho(n) Salaam.


Asl-e-har bood-o-bahbood takhm-e-wujood,
Qaasim-e-kanze ne'mat pe laakho(n) Salaam.


Fat-he-e-baab-e-nubuwat pe be-had Durood,
Khatm-e-daur-e-risaalat pe laakho(n) Salaam.


Sharq-e-anwaar-e-qudrat pe noori Durood,
Fatq-e-azhaar-e-qurbat pe laakho(n) Salaam.


Be-saheem-o-qaseem-o-adeel-o-maseel,
Jouhar-e-fard-e-izzat pe laakho(n) Salaam.


Sir-e-ghaib-e-hidaayat pe ghaibi Durood,
‘Itr-e-jaib-e-nihaayat pe laakho(n) Salaam.


Maahe laahoot-e-khalwat pe laakho(n) Durood,

Shahe naasoot-e-jalwat pe laakho(n) Salaam.


Kanz-e-har be-kaso benawaa par Durood,
Hirz-e-har raftah taaqat pe laakho(n) Salaam.


Partaw-e-isme zaat-e-ahad par Durood,
Nuskha-e-jaame’iyyat pe laakho(n) Salaam.


Matla'-e-har sa'aadat pe as'ad Durood,
Maqta’-e-har siyaadat pe laakho(n) Salaam.


Khalq key daadras sabke faryaad ras,
Kahf-e-roz-e-musibat pe laakho(n) Salaam.


Mujhse be-kas ki daulat pe laakho(n) Durood,
Mujhse be-bas ki quwwat pe laakho(n) Salaam.


Sham’-e-bazm-e-danaa hoo mein gum kun anaa,
Sharh-e-matn-e-huwiyyat pe laakho(n) Salaam.


Intiha-e-dowi ibtidaa-e-yakee,
Jam'-e-tafreeq-o-kasrat pe laakho(n) Salaam.


Kasrat-e-ba’d-e-qillat pe aksar Durood,
Izzat-e-ba’d-e-zillat pe laakho(n) Salaam.


Rabb-e-a’laa ki ne'mat pe a’laa Durood,
Haq Ta'aala ki minnat pe laakho(n) Salaam.


Hum ghareebon key Aaqa pe be-had Durood,
Hum faqeeron ki sarwat pe laakho(n) Salaam.


Farhat-e-jaan-e-momin pe be-had Durood,
Ghaiz-e-qalb-e-zalaalat pe laakho(n) Salaam.


Sabab-e-har sabab muntahaa-e-talab,
‘Illate jumlah ‘illat pe laakho(n) Salaam.


Masdar-e-mazhariyyat pe azhar Durood,
Mazhar-e-masdariyyat pe laakho(n) Salaam.


Jiske jalwe sey murjhaayi kaliya(n) khilin,
Uss ghul-e-paak mambat pe laakho(n) Salaam.

Qad-e-be-saaya key saaya-e-marhamat,
Zill-e-mamdood-e-raafat pe laakho(n) Salaam.


Taairaan-e-qudus jiski hain qamriyaa(n),
Us sahi sarwe qaamat pe laakho(n) Salaam.


Wasf jiska hay aayina-e-Haq numa,
Us Khuda saaz tal'at pe laakho(n) Salaam,


Jiske aage sar-e-sarwaraa(n) kham rahein,
Uss sar-e-taaj-e-rif'at pe laakho(n) Salaam.


Woh karam ki ghataa gesu-e-mushk saa,
Lakkah abr-e-raafat pe laakho(n) Salaam.


Lailat-ul-qadr mey matla’il fajr-e-Haq,
Maang ki istiqaamat pe laakho(n) Salaam.


Lakht lakht-e-dil-e-har jigar chaak sey,
Shaanah karne ki haalat pe laakho(n) Salaam.


Door-o-nazdeek key sun-ne waaley woh kaan,
Kaan-e-la'l-e-karaamat pe laakho(n) Salaam.


Chashma-e-mehr mey mawj-e-noor-e-jalaal,
Us rag-e-haashimiyyat pe laakho(n) Salaam.


Jiske maathe shafaa'at ka sehra raaha,
Us jabeen-e-sa'aadat pe laakho(n) Salaam.


Jinke sajde ko mehraab-e-ka’aba jhuki,
Unn bhawo(n) ki lataafat pe laakho(n) Salaam.


Unki aankho(n) pe woh saaya afgan muzhah,
Zullahe qasr-e-rahmat pe laakho(n) Salaam.


Ashkbaari-e-muzhgaa(n) pe barse Durood,
Silk-e-dur-e-shafaa'at pe laakho(n) Salaam.


Ma'ani-e-qad ra-aa maqsad-e-maa taghaa,
Nargis-e-baagh-e-qudrat pe laakho(n) Salaam.


Jiss taraf utth gayi dam mey dam aa gaya,
Us nigaah-e-‘inayat pe laakho(n) Salaam.


Nichee aankho(n) ki sharm-o-hayaa par Durood,
Oonchi beeni ki rif’at pe laakho(n) Salaam.


Jinke aage charaaghe qamar jhilmilaaye,
Un ‘izaaro ki tal’at pe laakho(n) Salaam.


Unke khad ki suhoolat pe be-had Durood,
Unke qad ki rashaaqat pe laakho(n) Salaam.


Jis sey taareek dil jagmagaane lage,
Us chamak waali rangat pe laakho(n) Salaam.


Chaand sey munh pe taabaa(n) darkhshaa(n) Durood,
Namak aagi(n) sabaahat pe laakho(n) Salaam.



Shabnam-e-baagh-e-Haq ya’ni rukh ka araq,
Uski sachhi baraaqat pe laakho(n) Salaam.


Khat ki girde dahan woh dilara phaban,
Sabzah-e-nehr-e-rehmat pe laakho(n) Salaam.


Reesh-e-khush mu’tadil marham-e-reesh-e-dil,
Haalah-e-maah-e-nudrat pe laakho(n) Salaam.


Patli patli gul-e-quds ki pattiyaa(n),
Un labo(n) ki nazaakat pe laakho(n) Salaam.


Wo dahan jiski har baat wahiy-e-Khuda,
Chashmah-e-‘ilmo hikmat pe laakho(n) Salaam.


Jiske paani sey shaadaab jaan-o-jinaa(n),
Uss dahan ki taraawat pe laakho(n) Salaam.


Jis sey khaari kunwe sheera-e-jaa(n) bane,
Us zulaal-e-halaawat pe laakho(n) Salaam.


Woh zabaa(n) jisko sab kun ki kunji kahein,
Uski naafiz hukoomat pe laakho(n) Salaam.


Uski pyaari fasaahat pe be-had Durood,
Uski dilkash balaaghat pe laakho(n) Salaam.


Uski baato(n) ki lazzat pe laakho(n) Durood,
Uske khutbe ki haibat pe laakho(n) Salaam.


Woh du’a jis kaa joban bahaar-e-qubool,
Us naseem-e-ijaabat pe laakho(n) Salaam.


Jin key guchche sey lachche jharein noor key,
Un sitaaron ki nuzhat pe laakho(n) Salaam.


Jiski taskee(n) sey rote huwe hans parein,
Us tabassum ki 'aadat pe laakho(n) Salaam.



Jis mey nehrein hain sheero shakar ki rawaa(n),
Us gale ki nazaarat pe laakho(n) Salaam.


Dosh bar dosh hay jin sey shaan-e-sharaf,
Aise shaano(n) ki shaukat pe laakho(n) Salaam.


Hajr-e-aswad-e-Ka'aba-e-jaan-o-dil,
Ya’ni mohr-e-nubuwat pe laakho(n) Salaam.


Roo-e- aainah-e-‘ilm-e-pasht-e-Huzoor,
Pushti-e-qasr-e-millat pe laakho(n) Salaam.


Haath jis samt uttha ghanee kar diya,
Mouj-e-bahr-e-samaahat pe laakho(n) Salaam.


Jisko baare do ‘aalam ki parwaa nahin,
Aisey baazoo ki quwwat pe laakho(n) Salaam.


Ka'aba-e-deen-o-imaa(n) key dono sutoo(n),
Saa’idayn-e-risaalat pe laakho(n) Salaam.


Jis key har khat mein hay mouj-e-noor-e-karam,
Us kaf-e-bahr-e-himmat pe laakho(n) Salaam.


Noor key chashme lehraayein dariyaa bahein,
Ungliyo(n) ki karamat pe laakho(n) Salaam.


'Eid-e-mushkil kushaayi key chamkey hilaal,
Naakhunon ki bishaarat pe laakho(n) Salaam.


Raf'-e- zikr-e-jalalat pe arfa' Durood,
Sharh-e-sadr-e-sadaarat pe laakho(n) Salaam.


Dil samajh sey waraa hay magar yoon kahoon,
Ghunchah-e-raaz-e-wahdat pe laakho(n) Salaam.


Kul jahaa(n) milk aur jaw ki roti ghizaa,
Uss shikam ki qanaa'at pe laakho(n) Salaam.


Jo keh ‘azme shafaa'at pe khinch kar bandhi,
Us kamar ki himaayat pe laakho(n) Salaam.


Ambiya teh kare zaanu unke Huzoor,
Zaanuon ki wajaahat pe laakho(n) Salaam.


Saaq-e-asl-e-qadam shaakh-e-nakhl-e-karam,
Sham'-e-raah-e-isaabat pe laakho(n) Salaam.


Khaayi Quraa(n) ne khaak-e-guzar ki qasam,
Us kaf-e-paa ki hurmat pe laakho(n) Salaam.


Jis suhaani ghari chamka taibah ka chaand,
Us dil afroz saa'at pe laakho(n) Salaam.


Pehle sajde pe rouz-e-azal sey Durood,
Yaadgari-e-ummat pe laakho(n) Salaam.


Zar'-e- shaadaab-o-har zar'-e- pur sheer sey,
Barakaate razaa’at pe laakho(n) Salaam.


Bhaiyon key liye tark pistaa(n) karein,
Doodh peeto ki nisfat pe laakho(n) Salaam.


Mahd-e-waala ki qismat pe sad-haa Durood,
Burj-e-maah-e-risaalat pe laakho(n) Salaam.


Allah Allah woh bachpane ki phaban!,
Us Khuda bhaati soorat pe laakho(n) Salaam.


Utthte booto(n) ki nashw-o-numa par Durood,
Khilte ghuncho(n) ki nikhat pe laakho(n) Salaam.


Fazl-e-paidaaishi par hamesha Durood,
Khelne sey karaahat pe laakho(n) Salaam.


I’tilaa-e-jibillat pe ‘aala Durood,
I’tidaal-e-tawiyyat pe laakho(n) Salaam.



Be-banaavat adaa par hazaaro(n) Durood,
Be-takalluf malaahat pe laakho(n) Salaam.


Bheeni bheeni mahak par mahakti Durood,
Pyaari pyaari nafaasat pe laakho(n) Salaam.


Meethi meethi ‘ibaarat pe sheeree(n) Durood,
Achhi achhi ishaarat pe laakho(n) Salaam.


Seedhi seedhi rawish par karoro(n) Durood,
Saadi saadi tabi'at pe laakho(n) Salaam.


Roz-e-garm-o-shab-e-teerah-o-taar mein,
Koh-o-sahraa ki khalwat pe laakho(n) Salaam.


Jis key ghere mein hain ambiyaa-o-malak,
Us jahaangeer-e-be'sat pe laakho(n) Salaam.


Andhe sheeshe jhalaajhal damakne lagey,
Jalwah rezi-e-da’wat pe laakho(n) Salaam.


Lutf-e-be-daari-e-shab pe be-had Durood,
‘Aalam-e-khwab-e-raahat pe laakho(n) Salaam.


Khandah-e- subh-e-’ishrat pe noori Durood,
Giryah-e-abr-e-rehmat pe laakho(n) Salaam.


Narmi-e-khoo-e-leenat pe daaim Durood,
Garmi-e-shaan-e-satwat pe laakho(n) Salaam.


Jiske aagey khinchi gardanein jhuk gayin,
Us Khuda daad shoukat pe laakho(n) Salaam.


Kisko dekhaa yeh Moosa sey poochey koyi,
Aankho(n) waalon ki himmat pe laakho(n) Salaam.


Gard-e-mah dast-e-anjum mey rakhshaa(n) hilaal,
Badr ki daf'-e- zulmat pe laakho(n) Salaam.



Shor-e-takbeer sey thar-tharaati zamee(n),
Jumbishe jaish-e-nusrat pe laakho(n) Salaam.


Na'rahaa-e-dileraa(n) sey ban goonjte,
Gurrish-e-kos-e-jura’at pe laakho(n) Salaam.


Woh chaqaa chaaq khanjar sey aati sadaa,
Mustafa teri sawlat pe laakho(n) Salaam.


Unke aagey woh Hamzah ki jaanbaaziya(n),
Sher-e-gurrane satvat pe laakho(n) Salaam.


Al-gharaz unke har moo pe laakho(n) Durood,
Un ki har khoo-o-khaslat pe laakho(n) Salaam.


Un key har naam-o-nisbat pe naami Durood,
Un key har waqt-o-haalat pe laakho(n) Salaam.


Unke Maula ki un par karoro(n) Durood,
Unke as-haabo ‘itrat pe laakho(n) Salaam.


Paarahaaye suhuf ghunchahaa-e-qudus,
Ahl-e-bait-e-nubuwat pe laakho(n) Salaam.


Aab-e-tat-heer sey jis mein paude jame,
Uss riyaz-e-najaabat pe laakho(n) Salaam.


Khoon-e-khair-ur-Rusul sey hay jinka khameer,
Un ki be lous teenat pe laakho(n) Salaam.


Uss batul-e-jigar paarah-e-Mustafa,
Hajlah aara-e-‘iffat pe laakho(n) Salaam.


Jis kaa aanchal nah dekha mah-o-meher ney,
Uss ridaa-e-nazaahat pe laakho(n) Salaam.



Sayyida zaahira tayyibah taahirah,
Jaan-e-Ahmad ki raahat pe laakho(n) Salaam.


Hasan-e-Mujtaba sayyidul askhiyaa,
Raakib-e-dosh-e-izzat pe laakho(n) Salaam.


Awj-e-mehr-e-hudaa mawj-e-bahr-e-nadaa,
Rowh rooh-e-sakhaawat pe laakho(n) Salaam.


Shehd khwaare lu’aab-e-zabaan-e-Nabi,
Chaashni geer-e-‘ismat pe laakho(n) Salaam.


Uss shaheed-e-balaa shaah-e-gulgoo(n) qabaa,
Be-kas-e-dasht-e-ghurbat pe laakho(n) Salaam.


Durr-e-durj-e-najaf mehr-e-burj-e-sharaf,
Rang-e-roo-e-shahaadat pe laakho(n) Salaam.


Ahl-e-Islaam ki maadaran-e-shafeeq,
Baanuwaan-e-tahaarat pe laakho(n) Salaam.


Jilwagiyyaan-e-bait-ush-sharaf par Durood,
Parwagiyyaan-e-‘iffat pe laakho(n) Salaam.


Siyyema pahli maa(n) kahf-e-amn-o-amaa(n),
Haq guzaar-e-rafaaqat pe laakho(n) Salaam.


‘Arsh sey jis pe tasleem naazil hui,
Us saraa-e-salaamat pe laakho(n) Salaam.


Manzillun min qqasab laaa nasab la sakhab,
Aise kooshak ki zeenat pe laakho(n) Salaam.


Bint-e-Siddeeq aaraam-e-jaan-e-Nabi,
Us hareem-e-baraa-at pe laakho(n) Salaam.


Ya’ni hay soorah-e-noor jin ki gawaah,
Unki pur-noor soorat pe laakho(n) Salaam.


Jin mein rooh-ul-qudus be-ijaazat nah jaaye,
Un suraadiq ki ‘ismat pe laakho(n) Salaam.



Sham'-e- taabaan kaashaanah-e-ijtihaad,
Mufti-e-chaar millat pe laakho(n) Salaam.


Jaa(n)-nisaaran-e-Badr-o-Uhud par Durood,
Haq guzaaraan-e-bai'at pe laakho(n) Salaam.


Woh daso(n) jin ko Jannat ka muzda mila,
Uss mubaarak jamaa'at pe laakho(n) Salaam.


Khaas uss saabiq-e-sair-e-qurb-e-Khuda,
Awhad-e-kaamiliyyat pe laakho(n) Salaam.


Saaya-e-Mustafa Maaya-e-Istafaa,
Izz-o-naaz-e-khilaafat pe laakho(n) Salaam.


Ya’ni uss afzal-ul-khalq ba’d ar-Rusul,
Thaani-yathnain-e-hijrat pe laakho(n) Salaam.


Asdaq-us-Saadiqeen sayyidul muttaqeen,
Chashm-o-gosh-e-wizaarat pe laakho(n) Salaam.


Woh umar jis key a’da pe shaidaa saqar,
Uss Khuda dost Hazrat pe laakho(n) Salaam.


Faariq-e-Haqq-o-baatil imaam-ul-huda,
Taigh-e-masloole shiddat pe laakho(n) Salaam.


Tarjumaan-e-Nabi ham-zabaan-e-nabi,
Jaan-e-shaan-e-‘adaalat pe laakho(n) Salaam.


Zaahid-e-Masjid-e-Ahmadi par Durood,
Doulat-e-jaishe ‘usrat pe laakho(n) Salaam.


Durr-e-mansoor Quraa(n) ki silk-e-bahee,
Zouj-e-do noor-e-‘iffat pe laakho(n) Salaam.


Yaani Usmaan saahib-e-kamees-e-huda,
Hullah powshe shahaadat pe laakho(n) Salaam.



Murtaza sher-e-Haq ashja-’ul ashja’i(n),
Saaqi-e-sheer-o-sharbat pe laakho(n) Salaam.


Asl-e-nasl-e-safaa wajh-e-wasl-e-Khuda,
Baab-e-fasle wilaayat pe laakho(n) Salaam.


Awwali(n) daaf’-e- ahle rafz-o-khurooj,
Chaarumi rukn-e-millat pe laakho(n) Salaam.


Sheer-e-shamsheer-zan shaah-e-khaibar-shikan,
Partaw-e-dast-e-qudrat pe laakho(n) Salaam.


Maahi-e-rafz-o-tafzeel-o-nasb-o-khurooj,
Haami-e-deen-o-sunnat pe laakho(n) Salaam.


Mo'mini(n) peshe fath-o-pase fath sab,
Ahl-e- khairo ‘adaalat pe laakho(n) Salaam.


Jis musalmaa(n) ne dekha unhe ik nazar,
Uss nazar ki basaarat pe laakho(n) Salaam.


Jinke dushman pe laanat hay Allah ki,
Un sab ahl-e-muhabbat pe laakho(n) Salaam.


Baaqi-e-saaqiyaan-e-sharaab-e-tahoor,
Zain-e-ahl-e-’ibadat pe laakho(n) Salaam.


Aur jitne hain shehzaade uss shaah key,
Un sab ahl-e-makaanat pe laakho(n) Salaam.


Unki baalaa sharaafat pe aa’la Durood,
Unki waala siyaadat pe laakho(n) Salaam.


Shafa'i Maalik Ahmad Imaam-e-Haneef,
Chaar baagh-e-imamat pe laakho(n) Salaam.


Kaamilaan-e-tareeqat pe kaamil Durood,
Haamilaan-e-shari’at pe laakho(n) Salaam.



Ghouse a’azam imaamuttuqaa wannuqaa,
Jalwah-e-shaan-e-qudrat pe laakho(n) Salaam.


Qutb-e-abdaal-o-irshaad-o-rushdur-rashaad,
Muhyi-e- Deen-o-millat pe laakho(n) Salaam.


Mard-e-khaile tareeqat pe behad Durood,
Farde ahl-e-haqeeqat pe laakho(n) Salaam.


Jiski mimbar bani gardan-e-awliyah,
Uss qadam ki karamat pe laakho(n) Salaam.


Shah-e-barkaato barkaate peshiniyaa(n),
Nou bahar-e-tareeqat pe laakho(n) Salaam.


Sayyid aale Muhammad imaamur-rasheed,
Gul-e-rouz-e-riyaazat pe laakho(n) Salaam.


Hazrat-e-Hamza shere Khuda wa Rasool,
Zeenat-e-Qaadriyat pe laakho(n) Salaam.


Naam-o-kaam-o-tan-o-jaan-o-haal-o-maqaal,
Sab mein achhe ki soorat pe laakho(n) Salaam.


Noor-e-jaa(n) itre-majmu'ah Aal-e-Rasool,
Mere Aaqa-e-ne'mat pe laakho(n) Salaam.


Zaib-e-sajjaadah sajjaade noori nihaad,
Ahmad-e-Noor teenat pe laakho(n) Salaam.


Be azaab-o-’itaab-o-hisaab-o-kitaab,
Ta abad Ahle Sunnat pe laakho(n) Salaam.


Tere un dosto key tufail aay Khuda,
Banda-e-nang-e-khalqat pe laakho(n) Salaam.


Mere ustaad maa-baap bhai behen,
Ahl-e-wuld-o-‘ashirat pe laakho(n) Salaam.



Ek mera hi rahmat mein da’waa nahin,
Shaah ki saari ummat pe laakho(n) Salaam.


Kaash mahshar me jab unki aamad ho aur,
Bheje sab unki showkat pe laakho(n) Salaam.


Mujhse khidmat key qudsi kahein haa(n) RAZA,

Mustafa jaan-e-rahmat pe laakho(n) Salaam..


Please check out the video of the above lyrics Mustafa jane rahe mat pe lakhon salam lyrics